ek mohabbat ka fusun tha so abhi baqi hai
ik mohabbat kā fusūñ thā so abhī baaqī hai
mujh meñ ik raqs-e-junūñ thā so abhī baaqī hai
aañkh meñ ḳhvāb kī kircheñ thiiñ so tū ne chun liiñ
par jo ik qatra-e-ḳhūñ thā so abhī baaqī hai
mar gayā dil hai magar terī amānat mahfūz
dil jo ik dil ke darūñ thā so abhī baaqī hai
kaT ga.e sar ki uThā.e the baġhāvat kī thī
jo bhī sar hai vo nigūñ thā so abhī baaqī hai
is ne pūchhā hai tumheñ pyaar thā kyā ḳhatm huā
dil meñ aatī hai kahūñ thā so abhī baaqī hai
ek mohabbat ka fusun tha so abhi baqi hai
mujh mein ek raqs-e-junun tha so abhi baqi hai
aankh mein KHwab ki kirchen thin so tu ne chun lin
par jo ek qatra-e-KHun tha so abhi baqi hai
mar gaya dil hai magar teri amanat mahfuz
dil jo ek dil ke darun tha so abhi baqi hai
kaT gae sar ki uThae the baghawat ki thi
jo bhi sar hai wo nigun tha so abhi baqi hai
is ne puchha hai tumhein pyar tha kya KHatm hua
dil mein aati hai kahun tha so abhi baqi hai
- Book : Mohabbat Rasty me.n hai (Pg. 196)
- Author : Wajih Sani
- Publication : Samiya Publication (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.