ek mohabbat thi jo thi tartib mein
ik mohabbat thī jo thī tartīb meñ
varna shai thī kab koī tartīb meñ
ham tujhe kaise banāte ham-safar
ham jiye the zindagī tartīb meñ
maut kā kuchh Dar nahīñ hotā mujhe
zindagī merī kaTī tartīb meñ
ab tū apne ishq kā qissa sunā
dāstāñ apnī to thī tartīb meñ
dil se us kī yaad ko ruḳhsat karo
taaki aa.e zindagī tartīb meñ
taaki ab apnā nasheman ban sake
ḳhud ko le aa to kisī tartīb meñ
vaqt par tāroñ ne chhoḌā āsmāñ
raat din meñ Dhal ga.ī tartīb meñ
naam terā aur mirā joḌā gayā
aur aa.ī har ḳhushī tartīb meñ
chhoḌ 'ahmad' ab ye be-tartībiyāñ
ḳhud ko ab le aa kisī tartīb meñ
ek mohabbat thi jo thi tartib mein
warna shai thi kab koi tartib mein
hum tujhe kaise banate ham-safar
hum jiye the zindagi tartib mein
maut ka kuchh Dar nahin hota mujhe
zindagi meri kaTi tartib mein
ab tu apne ishq ka qissa suna
dastan apni to thi tartib mein
dil se us ki yaad ko ruKHsat karo
taki aae zindagi tartib mein
taki ab apna nasheman ban sake
KHud ko le aa to kisi tartib mein
waqt par taron ne chhoDa aasman
raat din mein Dhal gai tartib mein
nam tera aur mera joDa gaya
aur aai har KHushi tartib mein
chhoD 'ahmad' ab ye be-tartibiyan
KHud ko ab le aa kisi tartib mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.