ek muddat ke baad mili ehsas jagati tanhai
ik muddat ke baa'd milī ehsās jagātī tanhā.ī
ḳhāmoshī se dhīre dhīre ghar mahkātī tanhā.ī
āvāzoñ kī bhiiḌ meñ jab bhī mujh ko pareshāñ dekhā hai
haath pakaḌ kar le aa.ī hai kuchh samjhātī tanhā.ī
āñkhoñ se jab niiñd bhaTak kar sahrā sahrā ghūmtī hai
mere sirhāne raat ga.e tak lorī gaatī tanhā.ī
bachpan meñ jab garm do-pahrī nange paañv phirtī thī
aam ke bāġhoñ meñ miltī thī ras barsātī tanhā.ī
pyaar kī ḳhvāb-rutoñ meñ kaisī jaagī soī rahtī thī
chāñd hiñDole meñ jhūlī thī jab madh-mātī tanhā.ī
pahroñ ham ne bāteñ kī haiñ pahroñ ḳhvāb sajā.e haiñ
maiñ roī to mujh se chhup kar ashk bahātī tanhā.ī
bahut dinoñ ke baa'd sañvar kar apnā chehra dekhā thā
ā.īne se jhāñk rahī thī aañkh churātī tanhā.ī
ek muddat ke ba'd mili ehsas jagati tanhai
KHamoshi se dhire dhire ghar mahkati tanhai
aawazon ki bhiD mein jab bhi mujh ko pareshan dekha hai
hath pakaD kar le aai hai kuchh samjhati tanhai
aankhon se jab nind bhaTak kar sahra sahra ghumti hai
mere sirhane raat gae tak lori gati tanhai
bachpan mein jab garm do-pahri nange panw phirti thi
aam ke baghon mein milti thi ras barsati tanhai
pyar ki KHwab-ruton mein kaisi jagi soi rahti thi
chand hinDole mein jhuli thi jab madh-mati tanhai
pahron hum ne baaten ki hain pahron KHwab sajae hain
main roi to mujh se chhup kar ashk bahati tanhai
bahut dinon ke ba'd sanwar kar apna chehra dekha tha
aaine se jhank rahi thi aankh churaati tanhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.