ek musafir ki tarah dur se aaya hua main
ik musāfir kī tarah duur se aayā huā maiñ
ab kahāñ jā.ūñ tire dar se uThāyā huā maiñ
ye alag baat ki dīmak ne mujhe chaaT liyā
ik shajar thā tire hāthoñ kā lagāyā huā maiñ
merā honā tirī duniyā meñ na hone jaisā
lauh-e-hastī pe se ik harf miTāyā huā maiñ
ek musafir ki tarah dur se aaya hua main
ab kahan jaun tere dar se uThaya hua main
ye alag baat ki dimak ne mujhe chaT liya
ek shajar tha tere hathon ka lagaya hua main
mera hona teri duniya mein na hone jaisa
lauh-e-hasti pe se ek harf miTaya hua main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.