ek musalsal gham ka saman hai jahan rahta hun main
ek musalsal gham ka saman hai jahan rahta hun main
Hasrat Saharvardi
MORE BYHasrat Saharvardi
ik musalsal ġham kā sāmāñ hai jahāñ rahtā huuñ maiñ
fikr hairāñ dil pareshāñ hai jahāñ rahtā huuñ maiñ
apne shānoñ par uThā ke apne armānoñ kī laash
bad-tar-az-haivān insāñ hai jahāñ rahtā huuñ maiñ
ik musalsal kashmakash dair-o-haram ke darmiyāñ
har-nafas mahbūs-3xirfāñ hai jahāñ rahtā huuñ
fan barā.e fan ta.ayyush ke liye maḳhsūs hai
shā.erī said-e-ġhazālāñ hai jahāñ rahtā huuñ maiñ
husn kī zardār ke hāthoñ huī miTTī ḳharāb
ishq said-e-ranj-e-daurāñ hai jahāñ rahtā huuñ maiñ
ishrateñ ghabrā rahī haiñ paas aane ko mire
nik.hatoñ kā ek tūfāñ hai jahāñ rahtā huuñ maiñ
adh-khilī kaliyāñ shagūfe muzmahil afsurda gul
ik ḳhizāñ tā-hadd-e-imkāñ hai jahāñ rahtā huuñ maiñ
kyoñ mirī bechārgī par hañs rahā hai ik jahāñ
kyoñ ḳhudā mujh se gurezāñ hai jahāñ rahtā huuñ maiñ
ek musalsal gham ka saman hai jahan rahta hun main
fikr hairan dil pareshan hai jahan rahta hun main
apne shanon par uTha ke apne armanon ki lash
bad-tar-az-haiwan insan hai jahan rahta hun main
ek musalsal kashmakash dair-o-haram ke darmiyan
har-nafas mahbus-3xirfan hai jahan rahta hun
fan barae fan tayyush ke liye maKHsus hai
shaeri said-e-ghazalan hai jahan rahta hun main
husn ki zardar ke hathon hui miTTi KHarab
ishq said-e-ranj-e-dauran hai jahan rahta hun main
ishraten ghabra rahi hain pas aane ko mere
nikhaton ka ek tufan hai jahan rahta hun main
adh-khili kaliyan shagufe muzmahil afsurda gul
ek KHizan ta-hadd-e-imkan hai jahan rahta hun main
kyon meri bechaargi par hans raha hai ek jahan
kyon KHuda mujh se gurezan hai jahan rahta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.