Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek musibat ye hai ke dil mera barham bhi hai

Rizwan Haider

ek musibat ye hai ke dil mera barham bhi hai

Rizwan Haider

MORE BYRizwan Haider

    ik musībat ye hai ke dil mirā barham bhī hai

    aur is dil meñ tirī yaad mātam bhī hai

    faisla aap ko karnā hai ki kyā chunñā hai

    dāman-e-vaqt meñ aañsū bhī haiñ marham bhī hai

    mujh se milne ḳhushī mujh ko bahut hai lekin

    ik taraf tum se bichhaḌne mujhe ġham bhī hai

    sard hai raat december mahīna aur maiñ

    aur is par ye tire hijr mausam bhī hai

    ruup aurat ke bahut haiñ kise mālūm nahīñ

    hai kahīñ hiñda banī aur kahīñ mariyam bhī hai

    ek maiñ nahīñ niklā huuñ tumhāre dil se

    ham ik ḳhuld se niklā huā aadam bhī hai

    kaise samjhe koī chehre ke ta.assur se tujhe

    lab pe muskān bhī hai aañkh meñ shabnam bhī hai

    akelā to nahīñ ishq ke hāthoñ barbād

    jaisā terā vahī 'rizvān' aalam bhī hai

    ek musibat ye hai ke dil mera barham bhi hai

    aur is dil mein teri yaad ka matam bhi hai

    faisla aap ko karna hai ki kya chunna hai

    daman-e-waqt mein aansu bhi hain marham bhi hai

    mujh se milne ki KHushi mujh ko bahut hai lekin

    ek taraf tum se bichhaDne ka mujhe gham bhi hai

    sard hai raat december ka mahina aur main

    aur is par ye tere hijr ka mausam bhi hai

    rup aurat ke bahut hain kise malum nahin

    hai kahin hinda bani aur kahin mariyam bhi hai

    ek main hi nahin nikla hun tumhaare dil se

    hum sa ek KHuld se nikla hua aadam bhi hai

    kaise samjhe koi chehre ke tassur se tujhe

    lab pe muskan bhi hai aankh mein shabnam bhi hai

    tu akela to nahin ishq ke hathon barbaad

    jaisa tera wahi 'rizwan' ka aalam bhi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now