ek musibat ye hai ki dil mera barham bhi hai
ik musībat ye hai ki dil mirā barham bhī hai
aur is dil meñ tirī yaad kā mātam bhī hai
faisla aap ko karnā hai ki kyā chunñā hai
dāman-e-vaqt meñ aañsū bhī haiñ marham bhī hai
mujh se milne kī ḳhushī mujh ko bahut hai lekin
ik taraf tum se bichhaḌne kā mujhe ġham bhī hai
sard hai raat december kā mahīna aur maiñ
aur is par ye tire hijr kā mausam bhī hai
ruup aurat ke bahut haiñ kise mālūm nahīñ
hai kahīñ hiñda banī aur kahīñ mariyam bhī hai
ek maiñ hī nahīñ niklā huuñ tumhāre dil se
ham sā ik ḳhuld se niklā huā aadam bhī hai
kaise samjhe koī chehre ke ta.assur se tujhe
lab pe muskān bhī hai aañkh meñ shabnam bhī hai
tū akelā to nahīñ ishq ke hāthoñ barbād
jaisā terā vahī 'rizvān' kā aalam bhī hai
ek musibat ye hai ki dil mera barham bhi hai
aur is dil mein teri yaad ka matam bhi hai
faisla aap ko karna hai ki kya chunna hai
daman-e-waqt mein aansu bhi hain marham bhi hai
mujh se milne ki KHushi mujh ko bahut hai lekin
ek taraf tum se bichhaDne ka mujhe gham bhi hai
sard hai raat december ka mahina aur main
aur is par ye tere hijr ka mausam bhi hai
rup aurat ke bahut hain kise malum nahin
hai kahin hinda bani aur kahin mariyam bhi hai
ek main hi nahin nikla hun tumhaare dil se
hum sa ek KHuld se nikla hua aadam bhi hai
kaise samjhe koi chehre ke tassur se tujhe
lab pe muskan bhi hai aankh mein shabnam bhi hai
tu akela to nahin ishq ke hathon barbaad
jaisa tera wahi 'rizwan' ka aalam bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.