Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek na ek din jo kabhi mujhse mohabbat hogi

Arzoo Ashraf Sultanpuri

ek na ek din jo kabhi mujhse mohabbat hogi

Arzoo Ashraf Sultanpuri

MORE BYArzoo Ashraf Sultanpuri

    ik na ik din jo kabhī mujh se mohabbat hogī

    dekh lenā tumheñ ḳhud apne pe hairat hogī

    jaane kab ā.eñge vo zaḳhm-e-jigar par hañsne

    jaane kis roz mire dard meñ barakat hogī

    rashk-angez hai firdaus tirī āñkhoñ par

    is se behtar bhī bhalā kyā koī jannat hogī

    ek bas terī talab hai tujhe luuñ jānāñ

    phir kisī shai kahāñ mujh ko zarūrat hogī

    shikva-e-ishq pe itne bhī pareshān haiñ kyoñ

    aap apne haiñ to lāzim hai shikāyat hogī

    ek na ek din jo kabhi mujh se mohabbat hogi

    dekh lena tumhein KHud apne pe hairat hogi

    jaane kab aaenge wo zaKHm-e-jigar par hansne

    jaane kis roz mere dard mein barakat hogi

    rashk-angez hai firdaus teri aankhon par

    is se behtar bhi bhala kya koi jannat hogi

    ek bas teri talab hai tujhe pa lun jaanan

    phir kisi shai ki kahan mujh ko zarurat hogi

    shikwa-e-ishq pe itne bhi pareshan hain kyon

    aap apne hain to lazim hai shikayat hogi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now