ek nadi ki dhaar ka le kar sahaara aa gae
ik nadī kī dhaar kā le kar sahārā aa ga.e
saarī duniyā ghuum k tujh tak dobāra aa ga.e
kyoñ achānak niiñd in āñkhoñ se ġhā.eb ho ga.ī
aap ḳhvāboñ meñ kise de kar ishāra aa ga.e
dostī meñ khel matlab kā nahīñ khelā gayā
so isī rishte meñ ham le kar ḳhasāra aa ga.e
vo hamārā aks thā ham se judā hotā kahāñ
karke ghar k ā.inoñ se ham kinārā aa ga.e
us ne ik ik lafz se saarā badan chhalnī kiyā
soch kar ummīd kā hai dosh saarā aa ga.e
aur phir kyā hārne ko ishq meñ baaqī rahā
ḳhud ko jab pahlī dafa kar k tumhārā aa ga.e
ek nadi ki dhaar ka le kar sahaara aa gae
sari duniya ghum k tujh tak dobara aa gae
kyon achanak nind in aankhon se ghaeb ho gai
aap KHwabon mein kise de kar ishaara aa gae
dosti mein khel matlab ka nahin khela gaya
so isi rishte mein hum le kar KHasara aa gae
wo hamara aks tha hum se juda hota kahan
karke ghar k aainon se hum kinara aa gae
us ne ek ek lafz se sara badan chhalni kiya
soch kar ummid ka hai dosh sara aa gae
aur phir kya haarne ko ishq mein baqi raha
KHud ko jab pahli dafa kar k tumhaara aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.