ek nae azm se yaran-e-subuk-gam chale
ik na.e 'azm se yārān-e-subuk-gām chale
ġham ke saa.e meñ bhī paate hue ārām chale
ye tamāshā ho kisī din to baḌā kaam chale
vo udhar nikleñ idhar gardish-e-ayyām chale
sāqiyā kis liye mahrūm mai-āshām chale
mai-e-tāza na sahī durd-e-tah-e-jām chale
shahr meñ aaj nahīñ hai mire qātil kā javāb
zulm kī 'umr baḌhe jor kā hangām chale
dosto kuchh to izāla ho pareshānī kā
aaj phir tazkira-e-zulf-e-siyah-fām chale
ham bhī samjhe hue baiThe haiñ havā ke ruḳh ko
zor kab tak tirā ai gardish-e-ayyām chale
kāmyābī rah-e-maqsūd meñ hai 'azm kī baat
kaam kā hausla kuchh ho to baḌā kaam chale
na sila mehr-o-vafā kā na mohabbat kā javāb
haa.e vo shahr-e-nigārāñ se jo nākām chale
aah sayyād ne kyā ḳhuub havā bāñdhī hai
ḳhud hī murġhān-e-chaman khiñch ke tah-e-dām chale
haar kar raah meñ kyoñ baiTh rahe ho yaaro
jis ko chalnā har mire saath vo do-gām chale
hai ye ḳhāsān-e-mohabbat kā hamesha se shi'ār
jab chale chhoḌ ke vo shāhrah-e-ām chale
zindagī ke liye kyā kyā hai musībat darpesh
zindagī ḳhud hī musībat ho to kyā kaam chale
kyā ab uktā gayā jī 'ishq-e-butāñ se 'muslim'
aaj hazrat ye kidhar bāñdh ke ehrām chale
ek nae 'azm se yaran-e-subuk-gam chale
gham ke sae mein bhi pate hue aaram chale
ye tamasha ho kisi din to baDa kaam chale
wo udhar niklen idhar gardish-e-ayyam chale
saqiya kis liye mahrum mai-asham chale
mai-e-taza na sahi durd-e-tah-e-jam chale
shahr mein aaj nahin hai mere qatil ka jawab
zulm ki 'umr baDhe jor ka hangam chale
dosto kuchh to izala ho pareshani ka
aaj phir tazkira-e-zulf-e-siyah-fam chale
hum bhi samjhe hue baiThe hain hawa ke ruKH ko
zor kab tak tera ai gardish-e-ayyam chale
kaamyabi rah-e-maqsud mein hai 'azm ki baat
kaam ka hausla kuchh ho to baDa kaam chale
na sila mehr-o-wafa ka na mohabbat ka jawab
hae wo shahr-e-nigaran se jo nakaam chale
aah sayyaad ne kya KHub hawa bandhi hai
KHud hi murghan-e-chaman khinch ke tah-e-dam chale
haar kar rah mein kyon baiTh rahe ho yaro
jis ko chalna har mere sath wo do-gam chale
hai ye KHasan-e-mohabbat ka hamesha se shi'ar
jab chale chhoD ke wo shahrah-e-am chale
zindagi ke liye kya kya hai musibat darpesh
zindagi KHud hi musibat ho to kya kaam chale
kya ab ukta gaya ji 'ishq-e-butan se 'muslim'
aaj hazrat ye kidhar bandh ke ehram chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.