ek nae Dhang se tartib de maiKHane ko
ik na.e Dhang se tartīb de maiḳhāne ko
sāqiyā der na kar toḌ de paimāne ko
apnī qismat meñ kahāñ vasl kī ghaḌiyāñ ai dost
ye ġhanīmat hai ki aa jaate haiñ maiḳhāne ko
ab chalegā na tirī mast nazar kā jaadū
surḳhiyāñ ḳhuun kī darkār haiñ afsāne ko
sahte aa.e haiñ kuchh is tarah se duniyā ke sitam
jaise baiThe haiñ har ik zulm ke sah jaane ko
ik zarā sabr tirī zulfoñ ke saaye ke tale
ā.eñge ham bhī dil-e-zār ke bahlāne ko
muskurā ai ġham-e-daurāñ ki vo daur aa pahuñchā
kākul-e-zīst haiñ ḳhud aap sañvar jaane ko
tang aa kar ġham-o-ālām jahāñ se hasrat
aa ga.e haiñ tirī mahfil meñ ġhazal gaane ko
ek nae Dhang se tartib de maiKHane ko
saqiya der na kar toD de paimane ko
apni qismat mein kahan wasl ki ghaDiyan ai dost
ye ghanimat hai ki aa jate hain maiKHane ko
ab chalega na teri mast nazar ka jadu
surKHiyan KHun ki darkar hain afsane ko
sahte aae hain kuchh is tarah se duniya ke sitam
jaise baiThe hain har ek zulm ke sah jaane ko
ek zara sabr teri zulfon ke saye ke tale
aaenge hum bhi dil-e-zar ke bahlane ko
muskura ai gham-e-dauran ki wo daur aa pahuncha
kakul-e-zist hain KHud aap sanwar jaane ko
tang aa kar gham-o-alam jahan se hasrat
aa gae hain teri mahfil mein ghazal gane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.