ek nai shan se phir jashn-e-bahaaran hona
ik na.ī shaan se phir jashn-e-bahārāñ honā
gulsitāñ tujh ko mubārak ho bayābāñ honā
phuul ke ruup meñ kāñToñ ne hameñ paalā hai
ham ko aayā na kabhī ġham se pareshāñ honā
mere ash'ār ne pighlā diiñ kisī kī āñkheñ
ek but ko bhī mayassar huā insāñ honā
rāmpur ai mire tahzīb-o-tamaddun ke dayār
ho mubārak tujhe urdu kā dabistāñ honā
ham ne sauñpī hai unheñ apnī hifāzat ai 'hosh'
jin ko aayā nahīñ ḳhud apnī nigahbāñ honā
ek nai shan se phir jashn-e-bahaaran hona
gulsitan tujh ko mubarak ho bayaban hona
phul ke rup mein kanTon ne hamein pala hai
hum ko aaya na kabhi gham se pareshan hona
mere ash'ar ne pighla din kisi ki aankhen
ek but ko bhi mayassar hua insan hona
rampur ai mere tahzib-o-tamaddun ke dayar
ho mubarak tujhe urdu ka dabistan hona
hum ne saunpi hai unhen apni hifazat ai 'hosh'
jin ko aaya nahin KHud apni nigahban hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.