ek nai subh ka paigham liye phirte hain
ik na.ī sub.h kā paiġhām liye phirte haiñ
ham mohabbat se bharā jaam liye phirte haiñ
apne dukh-sukh ko samajhte haiñ muqaddar kā qusūr
haa.e vo log jo auhām liye phirte haiñ
kal pahuñch jā.eñge phir sub.h ke darvāze tak
kyā huā aaj agar shaam liye phirte haiñ
kaise insāñ haiñ ki insāñ se sarokār nahīñ
chand TuuTe hue asnām liye phirte haiñ
thartharāte se simaTte se ye mub.ham saa.e
Dūbtī shaam kā anjām liye phirte haiñ
ek nai subh ka paigham liye phirte hain
hum mohabbat se bhara jam liye phirte hain
apne dukh-sukh ko samajhte hain muqaddar ka qusur
hae wo log jo auham liye phirte hain
kal pahunch jaenge phir subh ke darwaze tak
kya hua aaj agar sham liye phirte hain
kaise insan hain ki insan se sarokar nahin
chand TuTe hue asnam liye phirte hain
thartharaate se simaTte se ye mubham sae
Dubti sham ka anjam liye phirte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.