ek nai tahzib ka aaghaz hai urdu ghazal
ik na.ī tahzīb kā āġhāz hai urdu ġhazal
husn kī tā'rīf kā andāz hai urdu ġhazal
jaane kis kis ne lahū de kar sañvārā hai ise
daur-e-hāzir meñ magar nā-sāz hai urdu ġhazal
shā'iroñ ke ḳhvāb kī tasvīr bantī hai kabhī
dāstān-e-'ishq meñ parvāz hai urdu ġhazal
daur-e-hāzir kī haqīqat bhī bayāñ ye kar rahī
'mīr'-o-'ġhālib' se milā e'jāz hai urdu ġhazal
husn kī gahrā.iyoñ meñ Duub kar dekho zarā
'ishq meñ lipTī huī gul-nāz hai urdu ġhazal
nazm ho yā ho rubā'ī kahiye yā qit'a janāb
shā'irī kī sinf kā shahbāz hai urdu ġhazal
'mīr' 'ġhālib' 'dāġh' 'momin' 'jaun' 'rāhat' ne kahā
har qalam bolā yahī mumtāz hai urdu ġhazal
dil dhaḌak jaate haiñ bas ik husn kī añgḌā.ī par
aaj 'ātish' kī vahī hamrāz hai urdu ġhazal
ek nai tahzib ka aaghaz hai urdu ghazal
husn ki ta'rif ka andaz hai urdu ghazal
jaane kis kis ne lahu de kar sanwara hai ise
daur-e-hazir mein magar na-saz hai urdu ghazal
sha'iron ke KHwab ki taswir banti hai kabhi
dastan-e-'ishq mein parwaz hai urdu ghazal
daur-e-hazir ki haqiqat bhi bayan ye kar rahi
'mir'-o-'ghaalib' se mila e'jaz hai urdu ghazal
husn ki gahraiyon mein Dub kar dekho zara
'ishq mein lipTi hui gul-naz hai urdu ghazal
nazm ho ya ho ruba'i kahiye ya qit'a janab
sha'iri ki sinf ka shahbaz hai urdu ghazal
'mir' 'ghaalib' 'dagh' 'momin' 'jaun' 'rahat' ne kaha
har qalam bola yahi mumtaz hai urdu ghazal
dil dhaDak jate hain bas ek husn ki angDai par
aaj 'atish' ki wahi hamraaz hai urdu ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.