ek naqsh bigaDne se ek had ke guzarne se
ik naqsh bigaḌne se ik had ke guzarne se
kyā kyā nahīñ mar jaatā ik ḳhvāb ke marne se
ab arsa-e-hastī meñ sad-rang manāzir haiñ
is ā.ina-e-dil meñ ik 'aks utarne se
ik 'umr kī kāvish se ham ne to yahī jaanā
sab kaam sañvarte haiñ is dil ke sañvarne se
raazī haiñ ba-sad raġhbat ai jān-e-tamannā ham
ye baat jo ban jaa.e sau baar bhī marne se
vo mauj hī aisī thī jangal jo uḌā le jaa.e
kis tarah bachāte phir ham ḳhud ko bikharne se
ek naqsh bigaDne se ek had ke guzarne se
kya kya nahin mar jata ek KHwab ke marne se
ab arsa-e-hasti mein sad-rang manazir hain
is aaina-e-dil mein ek 'aks utarne se
ek 'umr ki kawish se hum ne to yahi jaana
sab kaam sanwarte hain is dil ke sanwarne se
raazi hain ba-sad raghbat ai jaan-e-tamanna hum
ye baat jo ban jae sau bar bhi marne se
wo mauj hi aisi thi jangal jo uDa le jae
kis tarah bachate phir hum KHud ko bikharne se
- Book : Tabani (Pg. 247)
- Author : Mubeen Mirza
- Publication : Academy Bazyaft (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.