ek nasha sa zehn par chhane laga
ik nasha sā zehn par chhāne lagā
aap kā chehra mujhe bhāne lagā
chāñdnī bistar pe itrāne lagī
chāñd bāñhoñ meñ nazar aane lagā
ruuh par madhoshiyāñ chhāne lagīñ
jism ġhazleñ vasl kī gaane lagā
tum karam-farmā hue sad-shukriya
ḳhvāb merā mujh ko yaad aane lagā
rafta rafta yāsmīñ khilne lagī
mausam-e-gul ishq farmāne lagā
zulf kī ḳhushbū shagufta lab 'kañval'
manzar-e-pur-kaif dikhlāne lagā
ek nasha sa zehn par chhane laga
aap ka chehra mujhe bhane laga
chandni bistar pe itrane lagi
chand banhon mein nazar aane laga
ruh par madhoshiyan chhane lagin
jism ghazlen wasl ki gane laga
tum karam-farma hue sad-shukriya
KHwab mera mujh ko yaad aane laga
rafta rafta yasmin khilne lagi
mausam-e-gul ishq farmane laga
zulf ki KHushbu shagufta lab 'kanwal'
manzar-e-pur-kaif dikhlane laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.