ek nashtar-e-nigah hai is se ziyaada kya
ik nashtar-e-nigāh hai is se ziyāda kyā
dam bhar kī aah aah hai is se ziyāda kyā
gardan se tauq-e-ḳhauf-o-talab ko nikāl dekh
phir koī bādshāh hai is se ziyāda kyā
tāqat agar hai paañv meñ sahrā kā ḳhauf kyuuñ
bas ik kushāda raah hai is se ziyāda kyā
vo to havā thī band na muTThī meñ ho sakī
ab ranj ḳhvāh-maḳhvāh hai is se ziyāda kyā
bāloñ ko apne chhoḌ mirī shām-e-ġham ko dekh
phir dekh kuchh siyāh hai is se ziyāda kyā
har-chand aaj bhī hai vahī kasrat-e-umīd
haarī huī sipāh hai is se ziyāda kyā
ik kankarī uchhāl ke toḌo tilism-e-tāb
paanī meñ aks-e-māh hai is se ziyāda kyā
haiñ kāmyāb jin kā yahāñ jī nahīñ lagā
duniyā kī dars-gāh hai is se ziyāda kyā
ghaTtā hī jā.egā ye latāfat ke saath saath
ye jism zād-e-rāh hai is se ziyāda kyā
ḳhūn-e-jigar se she’r likho aur mā-hasal
dam bhar kī vāh-vāh hai is se ziyāda kyā
ek nashtar-e-nigah hai is se ziyaada kya
dam bhar ki aah aah hai is se ziyaada kya
gardan se tauq-e-KHauf-o-talab ko nikal dekh
phir koi baadshah hai is se ziyaada kya
taqat agar hai panw mein sahra ka KHauf kyun
bas ek kushada rah hai is se ziyaada kya
wo to hawa thi band na muTThi mein ho saki
ab ranj KHwah-maKHwah hai is se ziyaada kya
baalon ko apne chhoD meri sham-e-gham ko dekh
phir dekh kuchh siyah hai is se ziyaada kya
har-chand aaj bhi hai wahi kasrat-e-umid
haari hui sipah hai is se ziyaada kya
ek kankari uchhaal ke toDo tilism-e-tab
pani mein aks-e-mah hai is se ziyaada kya
hain kaamyab jin ka yahan ji nahin laga
duniya ki dars-gah hai is se ziyaada kya
ghaTta hi jaega ye latafat ke sath sath
ye jism zad-e-rah hai is se ziyaada kya
KHun-e-jigar se she’r likho aur ma-hasal
dam bhar ki wah-wah hai is se ziyaada kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.