ek nazar hum pe bhi ho sanam kam se kam
ik nazar ham pe bhī ho sanam kam se kam
duur ho jaa.eñ dard-o-alam kam se kam
apne jalvoñ kī duniyā idhar bhī sajā
taaki ho merā ghar bhī iram kam se kam
ishq meñ faḳhr se pā-ba-zanjīr huuñ
TuuTe hargiz na us kā bharam kam se kam
nauhe shikve kī be-shak nafī hī sahī
dard itnā ki ho aañkh nam kam se kam
lutf-e-aish-o-tarab kī nahīñ hai talab
maiñ rahūñ tere bas ham-qadam kam se kam
pyaar tū mujh se kar yā na kar ġham nahīñ
haañ magar kar na mujh par sitam kam se kam
sher likhnā hai 'nādir' ḳhudā vāste
de de kāġhaz siyāhī qalam kam se kam
ek nazar hum pe bhi ho sanam kam se kam
dur ho jaen dard-o-alam kam se kam
apne jalwon ki duniya idhar bhi saja
taki ho mera ghar bhi iram kam se kam
ishq mein faKHr se pa-ba-zanjir hun
TuTe hargiz na us ka bharam kam se kam
nauhe shikwe ki be-shak nafi hi sahi
dard itna ki ho aankh nam kam se kam
lutf-e-aish-o-tarab ki nahin hai talab
main rahun tere bas ham-qadam kam se kam
pyar tu mujh se kar ya na kar gham nahin
han magar kar na mujh par sitam kam se kam
sher likhna hai 'nadir' KHuda waste
de de kaghaz siyahi qalam kam se kam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.