ek pal bhi kahin rahat-o-aram nahin hai
ik pal bhī kahīñ rāhat-o-ārām nahīñ hai
ye ishq kā āġhāz hai anjām nahīñ hai
Dartā huuñ ki gardish na zamāne kī Thahar jaa.e
ab haath meñ sūraj hai mire jaam nahīñ hai
kyā luuT liyā rindoñ ne mai-ḳhāna hī saarā
yā merī hī qismat meñ koī jaam nahīñ hai
jis paap kī duniyā meñ hai rāvan kā baserā
us svarg sī dhartī pe koī raam nahīñ hai
maiñ ne hī nikhārā hai tirā rang-e-mohabbat
aur merā tirī bazm meñ kuchh kaam nahīñ hai
tum ne hī sitam Dhaa.e haiñ tum ne hī jafā kī
maiñ kaise kahūñ tum pe kuchh ilzām nahīñ hai
sab kuchh hai jab apnā hī to maiñ soch rahā huuñ
insān ko kyoñ pahlā sā ārām nahīñ hai
mere hī gunāhoñ pe nazar kyoñ hai jahāñ kī
hai kaun jo is daur meñ badnām nahīñ hai
hairat hai ki tū us ko nahīñ jāntā lekin
is shahr meñ 'gauhar' koī gum-nām nahīñ hai
ek pal bhi kahin rahat-o-aram nahin hai
ye ishq ka aaghaz hai anjam nahin hai
Darta hun ki gardish na zamane ki Thahar jae
ab hath mein suraj hai mere jam nahin hai
kya luT liya rindon ne mai-KHana hi sara
ya meri hi qismat mein koi jam nahin hai
jis pap ki duniya mein hai rawan ka basera
us swarg si dharti pe koi ram nahin hai
main ne hi nikhaara hai tera rang-e-mohabbat
aur mera teri bazm mein kuchh kaam nahin hai
tum ne hi sitam Dhae hain tum ne hi jafa ki
main kaise kahun tum pe kuchh ilzam nahin hai
sab kuchh hai jab apna hi to main soch raha hun
insan ko kyon pahla sa aaram nahin hai
mere hi gunahon pe nazar kyon hai jahan ki
hai kaun jo is daur mein badnam nahin hai
hairat hai ki tu us ko nahin jaanta lekin
is shahr mein 'gauhar' koi gum-nam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.