ek pal bhi mere haal se ghafil nahin Thahra
ik pal bhī mire haal se ġhāfil nahīñ Thahrā
kyuuñ phir vo mire dard meñ shāmil nahīñ Thahrā
hālāt ke paale hue ifrīt ke hāthoñ
siine meñ kabhī saañs kabhī dil nahīñ Thahrā
har ḳhvāhish-e-jāñ maar ke sab rāhateñ taj ke
juz mere koī ġham ke muqābil nahīñ Thahrā
jis shaḳhs ko aatā thā hunar nauhagarī kā
vo shaḳhs bhī ab ke lab-e-sāhil nahīñ Thahrā
kuchh is ke sivā aur bhī ilzām bahut the
kab muntazir-e-ḳhanjar-e-qātil nahīñ Thahrā
ek pal bhi mere haal se ghafil nahin Thahra
kyun phir wo mere dard mein shamil nahin Thahra
haalat ke pale hue ifrit ke hathon
sine mein kabhi sans kabhi dil nahin Thahra
har KHwahish-e-jaan mar ke sab rahaten taj ke
juz mere koi gham ke muqabil nahin Thahra
jis shaKHs ko aata tha hunar nauhagari ka
wo shaKHs bhi ab ke lab-e-sahil nahin Thahra
kuchh is ke siwa aur bhi ilzam bahut the
kab muntazir-e-KHanjar-e-qatil nahin Thahra
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 356)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.