ek pal jita hai to tahir ek pal marta rahta hai
ik pal jiitā hai to 'tāhir' ik pal martā rahtā hai
merā dil siine ke andar mātam kartā rahtā hai
us kī zid aur dil kī ḳhvāhish ke mābain na jaane kyoñ
reza-reza sochoñ kā dīvān bikhartā rahtā hai
ba.az auqāt maiñ yuuñ bhī us ko rone par uksātā huuñ
ro kar us kā sundar chehra aur sañvartā rahtā hai
jaan tū mujh ko pahle se bhī ziyāda ab yaad aayā kar
tere yaad aane se merā dard sañvartā rahtā hai
jab tak terī bhīgī palkeñ ashk luTātī rahtī haiñ
mere sar se andeshoñ kā sail guzartā rahtā hai
ek pal jita hai to 'tahir' ek pal marta rahta hai
mera dil sine ke andar matam karta rahta hai
us ki zid aur dil ki KHwahish ke mabain na jaane kyon
reza-reza sochon ka diwan bikharta rahta hai
baz auqat main yun bhi us ko rone par uksata hun
ro kar us ka sundar chehra aur sanwarta rahta hai
jaan tu mujh ko pahle se bhi ziyaada ab yaad aaya kar
tere yaad aane se mera dard sanwarta rahta hai
jab tak teri bhigi palken ashk luTati rahti hain
mere sar se andeshon ka sail guzarta rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.