ik parī kā phir mujhe shaidā kiyā
'ishq ne phir mufsida barpā kiyā
aaj phir us shoḳh ne fuqarā kiyā
va.ada-e-imroz bhī fardā kiyā
ḳhūn-e-nāhaq ik musalmāñ kā kiyā
kyā ġhazab o shoḳh-e-be-parvā kiyā
dil ko maa.il sho.ala-rūoñ kā kiyā
dīn-e-zardashtī ko phir ahyā kiyā
abr aksar us baras barsā kiyā
kyā tatabbo dīda-e-tar kā kiyā
kyuuñ ajal kyā tujh ko bhī maut aa ga.ī
is qadar aane meñ kyuuñ arsa kiyā
kaan kī bijlī jo yaad aa.ī tirī
barq ke mānind maiñ taḌpā kiyā
vo kaf-e-pā-e-hinā.ī kar ke yaad
hijr kī shab eḌiyāñ ragḌā kiyā
us ko bhī sakta huā dekh ā.īna
der tak hairat se muñh dekhā kiyā
ḳhaak chhānī muddatoñ tinke chune
kyā kahūñ is 'ishq meñ kyā kyā kiyā
kal na pāoge hameñ kahiyo safīr
aaj aane meñ agar hiila kiyā
vaañ hue missī se lab un ke kabūd
piiT kar muñh ham ne yaañ niilā kiyā
tab uThe haiñ un butoñ ke ham se naaz
jab kalejā apnā patthar kā kiyā
hai girah mū-e-kamar kī nāf-e-yār
fikr ne apne ye uqda vā kiyā
laag paidā kar ke ab jallād se
jaan khoī haa.e dil ne kyā kiyā
dañḌ pe bāñdhā ham ne joshan kī tarah
harz-e-jāñ qātil tirā chhallā kiyā
mujh ko majnūñ kar diyā mānind-e-qais
sehr kuchh aur ġhairat-e-lailā kiyā
mā'rka meñ 'ishq ke sarkā na paañv
aabrū ko jaan ko sadqa kiyā
soz-e-furqat ne sharārat mujh se kī
haizam-e-tar kī tarah sulgā kiyā
ai shab-e-furqat na kar mujh par 'azāb
maiñ ne terā muñh nahīñ kaalā kiyā
zulf-e-jānāñ jis ne dekhī ek baar
dil se apne 'umr bhar uljhā kiyā
is musībat se shab-e-furqat kaTī
paañv piiTe aah kī naala kiyā
'ishq afshān-e-jabīn-e-yār meñ
ḳhaak chhalnī kī tarah chhānā kiyā
thā munāsib tark-e-ishq-e-yār 'rind'
aap ne ansab kiyā aulā kiyā
ek pari ka phir mujhe shaida kiya
'ishq ne phir mufsida barpa kiya
aaj phir us shoKH ne fuqara kiya
wada-e-imroz bhi farda kiya
KHun-e-nahaq ek musalman ka kiya
kya ghazab o shoKH-e-be-parwa kiya
dil ko mail shoala-ruon ka kiya
din-e-zardashti ko phir ahya kiya
abr aksar us baras barsa kiya
kya tatabbo dida-e-tar ka kiya
kyun ajal kya tujh ko bhi maut aa gai
is qadar aane mein kyun arsa kiya
kan ki bijli jo yaad aai teri
barq ke manind main taDpa kiya
wo kaf-e-pa-e-hinai kar ke yaad
hijr ki shab eDiyan ragDa kiya
us ko bhi sakta hua dekh aaina
der tak hairat se munh dekha kiya
KHak chhani muddaton tinke chune
kya kahun is 'ishq mein kya kya kiya
kal na paoge hamein kahiyo safir
aaj aane mein agar hila kiya
wan hue missi se lab un ke kabud
piT kar munh hum ne yan nila kiya
tab uThe hain un buton ke hum se naz
jab kaleja apna patthar ka kiya
hai girah mu-e-kamar ki naf-e-yar
fikr ne apne ye uqda wa kiya
lag paida kar ke ab jallad se
jaan khoi hae dil ne kya kiya
danD pe bandha hum ne joshan ki tarah
harz-e-jaan qatil tera chhalla kiya
mujh ko majnun kar diya manind-e-qais
sehr kuchh aur ghairat-e-laila kiya
ma'rka mein 'ishq ke sarka na panw
aabru ko jaan ko sadqa kiya
soz-e-furqat ne shararat mujh se ki
haizam-e-tar ki tarah sulga kiya
ai shab-e-furqat na kar mujh par 'azab
main ne tera munh nahin kala kiya
zulf-e-jaanan jis ne dekhi ek bar
dil se apne 'umr bhar uljha kiya
is musibat se shab-e-furqat kaTi
panw piTe aah ki nala kiya
'ishq afshan-e-jabin-e-yar mein
KHak chhalni ki tarah chhana kiya
tha munasib tark-e-ishq-e-yar 'rind'
aap ne ansab kiya aula kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.