ek peD sar-e-dasht-e-tamanna nazar aaya
ik peḌ sar-e-dasht-e-tamannā nazar aayā
tā-hadd-e-gumāñ abr kā saaya nazar aayā
tārīk samundar meñ jazīra thā koī dil
sūraj kisī goshe se ubhartā nazar aayā
banjar thī zamīñ jazba-o-ehsās kī kab se
sahrā meñ ubaltā huā chashma nazar aayā
jañgal meñ bhaTaktā vo musāfir thā ki jis ko
parbat pe mohabbat kā shivāla nazar aayā
haiñ kab se sarāboñ ke ta.āqub meñ 'shamīm' aab
ik sarv-e-ravāñ aap ko kyā kyā nazar aayā
ek peD sar-e-dasht-e-tamanna nazar aaya
ta-hadd-e-guman abr ka saya nazar aaya
tarik samundar mein jazira tha koi dil
suraj kisi goshe se ubharta nazar aaya
banjar thi zamin jazba-o-ehsas ki kab se
sahra mein ubalta hua chashma nazar aaya
jangal mein bhaTakta wo musafir tha ki jis ko
parbat pe mohabbat ka shiwala nazar aaya
hain kab se sarabon ke taaqub mein 'shamim' aab
ek sarw-e-rawan aap ko kya kya nazar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.