ek phareri jo tera KHak-basar leta hai
ik pharerī jo tirā ḳhāk-basar letā hai
thaam jibrīl-e-amīñ apnā jigar letā hai
saath apne koī asbāb-e-safar letā hai
to faqīr us ghaḌī sar zaanū pe dhar letā hai
chheḌ-chhāḌ apne uḌā kaun sake ai qibla
barq se daam koī musht-e-sharar letā hai
dekhiye kyā ho chale jaao miyāñ apnī raah
kaun yaañ ham se ġharīboñ kī ḳhabar letā hai
bāġhbāñ kā ye nahīñ jurm nasīb apne ki vo
chhāñT kar sab meñ pakaḌ merī kamar letā hai
koī sarkār junūñ kī nahīñ lāzim naa.eb
kaam jitne haiñ vo sab aap hī kar letā hai
kah liye kyuuñ na ho sabze ki suḳhan merā siikh
dāya-e-abr-e-bahārī ke hunar letā hai
sīna-e-naḳhl se aatī hai ubal duudh kī dhaar
khīñch is kā jo koī tifl tabar letā hai
hove parlok udaybhān to lāla-ghanshām
un ke phukne ke liye mol agar letā hai
naunihālān-e-chaman ko ho bhalā kyūñkar chain
toḌ gul un ke koī koī samar letā hai
un kī qāzeñ bhī tarāna ye sunā jaatī haiñ
ki tabar letā tabar letā tabar letā hai
is zamīñ meñ vo hai ik baaġh lagā ai 'inshā'
jo ki tuubā kī bhī choTī ko kutar letā hai
ek phareri jo tera KHak-basar leta hai
tham jibril-e-amin apna jigar leta hai
sath apne koi asbab-e-safar leta hai
to faqir us ghaDi sar zanu pe dhar leta hai
chheD-chhaD apne uDa kaun sake ai qibla
barq se dam koi musht-e-sharar leta hai
dekhiye kya ho chale jao miyan apni rah
kaun yan hum se gharibon ki KHabar leta hai
baghban ka ye nahin jurm nasib apne ki wo
chhanT kar sab mein pakaD meri kamar leta hai
koi sarkar junun ki nahin lazim naeb
kaam jitne hain wo sab aap hi kar leta hai
kah liye kyun na ho sabze ki suKHan mera sikh
daya-e-abr-e-bahaari ke hunar leta hai
sina-e-naKHl se aati hai ubal dudh ki dhaar
khinch is ka jo koi tifl tabar leta hai
howe parlok udaybhan to lala-ghansham
un ke phukne ke liye mol agar leta hai
naunihaalan-e-chaman ko ho bhala kyunkar chain
toD gul un ke koi koi samar leta hai
un ki qazen bhi tarana ye suna jati hain
ki tabar leta tabar leta tabar leta hai
is zamin mein wo hai ek bagh laga ai 'insha'
jo ki tuba ki bhi choTi ko kutar leta hai
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.