ek phaTi aastin ka dast-e-dua jhaTak diya
ik phaTī āstīn kā dast-e-duā jhaTak diyā
ye to ḳhudā kā haath thā ye tū ne kyā jhaTak diyā
tū bhī zamīñ pe aa ke kar miTTī se ruuh tak safar
maiñ ne to sar jhukā liyā bār-e-anā jhaTak diyā
ātish-e-intiqām se apne vajūd ko bachā
merā to zehn saaf hai dil meñ jo thā jhaTak diyā
andhī galī ke moḌ par aa.ī thī raushnī nazar
chuuñ ki mirā ḳhayāl hī ḳhvāb sā thā jhaTak diyā
ek phaTi aastin ka dast-e-dua jhaTak diya
ye to KHuda ka hath tha ye tu ne kya jhaTak diya
tu bhi zamin pe aa ke kar miTTi se ruh tak safar
main ne to sar jhuka liya bar-e-ana jhaTak diya
aatish-e-intiqam se apne wajud ko bacha
mera to zehn saf hai dil mein jo tha jhaTak diya
andhi gali ke moD par aai thi raushni nazar
chun ki mera KHayal hi KHwab sa tha jhaTak diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.