ek pur-kashish kahani ke kirdar ki tarah
ik pur-kashish kahānī ke kirdār kī tarah
har shaḳhs jī rahā hai adākār kī tarah
maiñ chal rahā huuñ bā-dil-e-nā-ḳhvāsta magar
hālāt kī giraft meñ patvār kī tarah
jo phuul se bhī halkā ta.alluq thā in dinoñ
lagne lagā hai koh girāñ-bār kī tarah
ye maslahat nahīñ hai to phir un ke sāmne
ḳhāmosh kyuuñ khaḌe ho gunahgār kī tarah
'tālib' ḳhushāmadoñ kā ye cholā utaar kar
haq maañg kar to dekhiye haqdār kī tarah
ek pur-kashish kahani ke kirdar ki tarah
har shaKHs ji raha hai adakar ki tarah
main chal raha hun ba-dil-e-na-KHwasta magar
haalat ki giraft mein patwar ki tarah
jo phul se bhi halka talluq tha in dinon
lagne laga hai koh giran-bar ki tarah
ye maslahat nahin hai to phir un ke samne
KHamosh kyun khaDe ho gunahgar ki tarah
'talib' KHushamadon ka ye chola utar kar
haq mang kar to dekhiye haqdar ki tarah
- Book : Almaas (Pg. 33)
- Author : Ayaz Ahmad Talib
- Publication : Ayaz Ahmad Talib (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.