ek qadam uTh gaya rawani mein
ik qadam uTh gayā ravānī meñ
dard phir aa gayā kahānī meñ
koī to chāñd ko sikhātā hai
Dūbnā roz roz paanī meñ
sirf tū ne nigāh pherī hai
moḌ sā aa gayā kahānī meñ
us kī āñkhoñ meñ Duub kar dekhā
tishnagī baḌh ga.ī hai paanī meñ
kuchh diye rāt-bhar rahe raushan
ek jugnū kī mezbānī meñ
maiñ akelā khaḌā thā sach ke saath
mujh ko marnā hī thā kahānī meñ
ek qadam uTh gaya rawani mein
dard phir aa gaya kahani mein
koi to chand ko sikhata hai
Dubna roz roz pani mein
sirf tu ne nigah pheri hai
moD sa aa gaya kahani mein
us ki aankhon mein Dub kar dekha
tishnagi baDh gai hai pani mein
kuchh diye raat-bhar rahe raushan
ek jugnu ki mezbani mein
main akela khaDa tha sach ke sath
mujh ko marna hi tha kahani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.