ek qatra KHun kya mere dil ka Tapak gaya
ik qatra ḳhuun kyā mire dil kā Tapak gayā
vīrāna-e-hayāt badāmāñ mahak gayā
pairāhan-e-dil ātish-e-gul se lahak gayā
ḳhirman meñ ārzūoñ ke sho.ala bhaḌak gayā
aate hī un kī yaad ḳhushī mahv ho ga.ī
kohrā chhaTā to dard kā sūraj chamak gayā
maarā phirā talāsh-e-mohabbat meñ dar-ba-dar
apne hī ghar pahuñch ke maiñ afsos thak gayā
ai zabt dekh kam huī jaatī hai raushnī
shāyad mirī nazar se mirā ġham jhalak gayā
jab bhī huā ki bolte kuchh tishna-ārzū
chashm-e-siyāh-e-yār kā sāġhar khanak gayā
gum dasht-e-zindagī meñ huā kārvān-e-shauq
chehra ġhubār-e-ranj-o-alam se chamak gayā
'barq' āgahī ne apnī ik añgḌā.ī sī jo lī
dekhā libās-e-husn-e-tamannā masak gayā
ek qatra KHun kya mere dil ka Tapak gaya
virana-e-hayat badaman mahak gaya
pairahan-e-dil aatish-e-gul se lahak gaya
KHirman mein aarzuon ke shoala bhaDak gaya
aate hi un ki yaad KHushi mahw ho gai
kohra chhaTa to dard ka suraj chamak gaya
mara phira talash-e-mohabbat mein dar-ba-dar
apne hi ghar pahunch ke main afsos thak gaya
ai zabt dekh kam hui jati hai raushni
shayad meri nazar se mera gham jhalak gaya
jab bhi hua ki bolte kuchh tishna-arzu
chashm-e-siyah-e-yar ka saghar khanak gaya
gum dasht-e-zindagi mein hua karwan-e-shauq
chehra ghubar-e-ranj-o-alam se chamak gaya
'barq' aagahi ne apni ek angDai si jo li
dekha libas-e-husn-e-tamanna masak gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.