ik qayāmat hai bapā shor-e-dil-e-dil-gīr se
uḌ ga.e TukḌe falak ke aah kī tāsīr se
raaz ulfat ke ayaañ hone kā Dar jaatā rahā
ḳhāmushī sīkhī hai ham ne bulbul-e-tasvīr se
chheḌtā hai kis liye nāseh asīr-e-zulf ko
dam ulajhtā hai tirī uljhī huī taqrīr se
kis kā dil zaḳhmī kiyā tū ne sitamgar kyā kiyā
ḳhuuñ Tapaktā hai lab-e-sūfār-o-nok-e-tīr se
ḳhauf kyā gar hogā majma.a roz-e-hashr ai 'nāsirī'
maiñ use pahchān lūñgā ḳhūn-e-dāman-gīr se
ek qayamat hai bapa shor-e-dil-e-dil-gir se
uD gae TukDe falak ke aah ki tasir se
raaz ulfat ke ayan hone ka Dar jata raha
KHamushi sikhi hai hum ne bulbul-e-taswir se
chheDta hai kis liye naseh asir-e-zulf ko
dam ulajhta hai teri uljhi hui taqrir se
kis ka dil zaKHmi kiya tu ne sitamgar kya kiya
KHun Tapakta hai lab-e-sufar-o-nok-e-tir se
KHauf kya gar hoga majma roz-e-hashr ai 'nasiri'
main use pahchan lunga KHun-e-daman-gir se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.