ek qissa-e-parina dhundla sa hai aaina
ik qissa-e-pārīna dhuñdlā sā hai ā.īna
ganjīna-e-gauhar hai yādoñ se bharā siina
kyuuñ aañkh churāte haiñ milte haiñ jo mahfil meñ
ik vaqt meñ apne the ye hamdam-e-dairīna
bahtā huā paanī bhī tham jaa.e na jumbish se
chheḌo na koī naġhma ḳhāmosh hai sāzīna
ik kun kī sadāoñ meñ mad.hosh ġham-e-hastī
ham-raqs mah-o-anjum chhalke haiñ mai-o-mīnā
āñkhoñ meñ liye vahshat sāhil se ulajhte haiñ
tūfānoñ kī chāhat meñ marnā bhī hai ab jiinā
ik qissa-e-pārīna hai dhund ke raste meñ
tā-hadd-e-nazar dekhūñ taḳhlīq kā ā.īna
ek qissa-e-parina dhundla sa hai aaina
ganjina-e-gauhar hai yaadon se bhara sina
kyun aankh churaate hain milte hain jo mahfil mein
ek waqt mein apne the ye hamdam-e-dairina
bahta hua pani bhi tham jae na jumbish se
chheDo na koi naghma KHamosh hai sazina
ek kun ki sadaon mein madhosh gham-e-hasti
ham-raqs mah-o-anjum chhalke hain mai-o-mina
aankhon mein liye wahshat sahil se ulajhte hain
tufanon ki chahat mein marna bhi hai ab jina
ek qissa-e-parina hai dhund ke raste mein
ta-hadd-e-nazar dekhun taKHliq ka aaina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.