ek raat hai ab tak aankhon mein meri nind ka gham karne ke liye
ek raat hai ab tak aankhon mein meri nind ka gham karne ke liye
Aziz Nabeel
MORE BYAziz Nabeel
ik raat hai ab tak āñkhoñ meñ mirī niiñd kā ġham karne ke liye
ka.ī ḳhvāb sirhāne baiThe haiñ rūdād raqam karne ke liye
kabhī rang banā kabhī nuur huā gahe ḳhāmoshī gahe shor huā
har ruup meñ Dhālā hai ḳhud ko tirā ruup baham karne ke liye
ka.ī āñkheñ mujh meñ jaag uThīñ ka.ī mausam mujh meñ aa nikle
mire ḳhvāb na.e karne ke liye mirī vahshat kam karne ke liye
maiñ barsoñ se koī ḳhushk zamīñ mirā tan-man goyā banjar sā
phir yuuñ hai ki ik barsāt huī mirī miTTī nam karne ke liye
na.e sher kaho mire sher-gurū koī ishq-charāġh karo raushan
har manzar-e-harf-o-saut pe chhā.ī dhund ko kam karne ke liye
inkār ke sahrā meñ tanhā maiñ nā-mumkin ik shaḳhs 'nabīl'
vaise to ka.ī tūfān uThe mirī gardan ḳham karne ke liye
ek raat hai ab tak aankhon mein meri nind ka gham karne ke liye
kai KHwab sirhane baiThe hain rudad raqam karne ke liye
kabhi rang bana kabhi nur hua gahe KHamoshi gahe shor hua
har rup mein Dhaala hai KHud ko tera rup baham karne ke liye
kai aankhen mujh mein jag uThin kai mausam mujh mein aa nikle
mere KHwab nae karne ke liye meri wahshat kam karne ke liye
main barson se koi KHushk zamin mera tan-man goya banjar sa
phir yun hai ki ek barsat hui meri miTTi nam karne ke liye
nae sher kaho mere sher-guru koi ishq-charagh karo raushan
har manzar-e-harf-o-saut pe chhai dhund ko kam karne ke liye
inkar ke sahra mein tanha main na-mumkin ek shaKHs 'nabil'
waise to kai tufan uThe meri gardan KHam karne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.