ek raat hum aise milen jab dhyan mein sae na hon
ik raat ham aise mileñ jab dhyān meñ saa.e na hoñ
jismoñ kī rasm-o-rāh meñ rūhoñ ke sannāTe na hoñ
ham bhī bahut mushkil na hoñ tū bhī bahut āsāñ na ho
ḳhvāboñ kī zanjīreñ na hoñ rāzoñ ke vīrāne na hoñ
ai kaash aisā kar sakeñ āñkhoñ ko zinda kar sakeñ
ye kyā ki dil meñ gard ho āñkhoñ meñ ā.īne na hoñ
haiñ tez duniyā ke qadam shāyad sajal chal paa.eñ ham
is besvā raftār meñ yādoñ se kyuuñ rishte na hoñ
shauq-e-farāvāñ se pare lazzat ke zindāñ se pare
us aag meñ sulgeñ zarā jis meñ kabhī sulge na hoñ
ek raat hum aise milen jab dhyan mein sae na hon
jismon ki rasm-o-rah mein ruhon ke sannaTe na hon
hum bhi bahut mushkil na hon tu bhi bahut aasan na ho
KHwabon ki zanjiren na hon raazon ke virane na hon
ai kash aisa kar saken aankhon ko zinda kar saken
ye kya ki dil mein gard ho aankhon mein aaine na hon
hain tez duniya ke qadam shayad sajal chal paen hum
is beswa raftar mein yaadon se kyun rishte na hon
shauq-e-farawan se pare lazzat ke zindan se pare
us aag mein sulgen zara jis mein kabhi sulge na hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.