ek rang sa chhalka tha magar bas na aai
ik rañg sā chhalkā thā magar baas na aa.ī
vo mauj-e-guzishta bhī koī ḳhaas na aa.ī
is baat pe hujjat haiñ chahakte hue qarye
har shaḳhs ko jañgal kī fazā raas na aa.ī
ḳhuuñ ho ke agarche dil-e-sad-chāk bhī Tapkā
hāthoñ meñ va-lekin rag-e-ehsās na aa.ī
tab rañj khule dhuup gañvā dene ke ham par
in sīm-zada kunjoñ meñ jab ghaas na aa.ī
paanī bhī alag chhān ke rakkhā thā lahū se
lekin kisī pairā.e meñ ik pyaas na aa.ī
sau baar charāġhoñ ko muñDeroñ pe dharā hai
āñkhoñ ke jharokoñ meñ koī aas na aa.ī
ai bād-e-sabā mauj-e-pareshāñ na huā kar
tū duur kahāñ thī ki mire paas na aa.ī
ek rang sa chhalka tha magar bas na aai
wo mauj-e-guzishta bhi koi KHas na aai
is baat pe hujjat hain chahakte hue qarye
har shaKHs ko jangal ki faza ras na aai
KHun ho ke agarche dil-e-sad-chaak bhi Tapka
hathon mein wa-lekin rag-e-ehsas na aai
tab ranj khule dhup ganwa dene ke hum par
in sim-zada kunjon mein jab ghas na aai
pani bhi alag chhan ke rakkha tha lahu se
lekin kisi pairae mein ek pyas na aai
sau bar charaghon ko munDeron pe dhara hai
aankhon ke jharokon mein koi aas na aai
ai baad-e-saba mauj-e-pareshan na hua kar
tu dur kahan thi ki mere pas na aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.