ek ranj-e-dil ke jis se siwa chahta nahin
ik ranj-e-dil ke jis se sivā chāhtā nahīñ
kuchh bhī ho phir maiñ us kī jagah chāhtā nahīñ
us ko bhī maiñ talab huuñ magar mujh se kuchh judā
koī bhī mujh ko merī tarah chāhtā nahīñ
uktā chukā huuñ ruuh kī lā-fāniyat se par
vo jism huuñ ke rāh-e-fanā chāhtā nahīñ
koī bhī tere zaḳhm sī tāsīr kaise de
lekin maiñ us kā aur maza chāhtā nahīñ
is baar tū mile to tujhe chūmnā bhī hai
maiñ zindagī meñ aur gila chāhtā nahīñ
har lā-davā maraz ko duāoñ se hai umiid
terā koī marīz davā chāhtā nahīñ
maanā ki ahd-e-vasl kā bhī paas hai magar
āḳhir vo kaise ho jo ḳhudā chāhtā nahīñ
ek ranj-e-dil ke jis se siwa chahta nahin
kuchh bhi ho phir main us ki jagah chahta nahin
us ko bhi main talab hun magar mujh se kuchh juda
koi bhi mujh ko meri tarah chahta nahin
ukta chuka hun ruh ki la-faniyat se par
wo jism hun ke rah-e-fana chahta nahin
koi bhi tere zaKHm si tasir kaise de
lekin main us ka aur maza chahta nahin
is bar tu mile to tujhe chumna bhi hai
main zindagi mein aur gila chahta nahin
har la-dawa maraz ko duaon se hai umid
tera koi mariz dawa chahta nahin
mana ki ahd-e-wasl ka bhi pas hai magar
aaKHir wo kaise ho jo KHuda chahta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.