ek ruThne ki hum ko ada tak nahin aai
ik rūThne kī ham ko adā tak nahīñ aa.ī
dil TuuT gayā aur sadā tak nahīñ aa.ī
rāhoñ pe charāġhoñ ko sajāyā hī nahīñ aaj
aaj āñdhī to kyā bād-e-sabā tak nahīñ aa.ī
kyā māñgnā thā ham ko bhalā aisā ki is baar
haath uTThe magar lab pe duā tak nahīñ aa.ī
ġhairoñ ne vafā kī to bahut dukh huā ham ko
apnoñ se hameñ bū-e-vafā tak nahīñ aa.ī
pyāse rahe kitne hī mirī pyaas ke baa.is
bārish to bahut duur ghaTā tak nahīñ aa.ī
ek ruThne ki hum ko ada tak nahin aai
dil TuT gaya aur sada tak nahin aai
rahon pe charaghon ko sajaya hi nahin aaj
aaj aandhi to kya baad-e-saba tak nahin aai
kya mangna tha hum ko bhala aisa ki is bar
hath uTThe magar lab pe dua tak nahin aai
ghairon ne wafa ki to bahut dukh hua hum ko
apnon se hamein bu-e-wafa tak nahin aai
pyase rahe kitne hi meri pyas ke bais
barish to bahut dur ghaTa tak nahin aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.