ek sans juda khinch agar khinch sake to
ik saañs judā khīñch agar khīñch sake to
is gard meñ aa khīñch agar khīñch sake to
jab āḳhirī sar kaaTā to kahne lagā mujh se
ab surḳh havā khīñch agar khīñch sake to
vo haath chhuḌātā hī rahā tā-dam-e-āḳhir
maiñ kahtā rahā khīñch agar khīñch sake to
ham raat ke pairā.e meñ mahdūd nahīñ haiñ
kuchh ḳhvāb zarā khīñch agar khīñch sake to
insāf nahīñ shor ugaltī hai mire dost
zanjīr-e-anā khīñch agar khīñch sake to
ek sans juda khinch agar khinch sake to
is gard mein aa khinch agar khinch sake to
jab aaKHiri sar kaTa to kahne laga mujh se
ab surKH hawa khinch agar khinch sake to
wo hath chhuData hi raha ta-dam-e-aKHir
main kahta raha khinch agar khinch sake to
hum raat ke pairae mein mahdud nahin hain
kuchh KHwab zara khinch agar khinch sake to
insaf nahin shor ugalti hai mere dost
zanjir-e-ana khinch agar khinch sake to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.