ek saya-e-sham yaad aaya
ik sāya-e-shām yaad aayā
ḳhushbū kā ḳhirām yaad aayā
dhoyā huā saat pāniyoñ meñ
kyā naam thā naam yaad aayā
lahje meñ shaguftagī guloñ kī
ik shusta kalām yaad aayā
achchhā huā gor tak to pahuñche
yāroñ ko salām yaad aayā
ai mauja-e-bād kyā huā hai
kyā taaza payām yaad aayā
kuchh aur zamīñ meñ gaḌ ga.e ham
jab apnā maqām yaad aayā
maqtal se muḌ aa.e ghar ko 'gauhar'
shāyad koī kaam yaad aayā
ek saya-e-sham yaad aaya
KHushbu ka KHiram yaad aaya
dhoya hua sat paniyon mein
kya nam tha nam yaad aaya
lahje mein shaguftagi gulon ki
ek shusta kalam yaad aaya
achchha hua gor tak to pahunche
yaron ko salam yaad aaya
ai mauja-e-baad kya hua hai
kya taza payam yaad aaya
kuchh aur zamin mein gaD gae hum
jab apna maqam yaad aaya
maqtal se muD aae ghar ko 'gauhar'
shayad koi kaam yaad aaya
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 429)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.