ik saaya mere jaisā hai
jo merā pīchhā kartā hai
ab shor se aajiz sannāTā
kānoñ meñ bāteñ kartā hai
ik moḌ hai raste ke aage
us moḌ ke aage rasta hai
maiñ ek Thikāna DhūñDtā huuñ
jo sahrā hai na hī dariyā hai
ik ḳhvāb kī vahshat hai jis meñ
ḳhud ko hī marte dekhā hai
ye qissa jhuuT sahī lekin
sunñe meñ achchhā lagtā hai
ek saya mere jaisa hai
jo mera pichha karta hai
ab shor se aajiz sannaTa
kanon mein baaten karta hai
ek moD hai raste ke aage
us moD ke aage rasta hai
main ek Thikana DhunDta hun
jo sahra hai na hi dariya hai
ek KHwab ki wahshat hai jis mein
KHud ko hi marte dekha hai
ye qissa jhuT sahi lekin
sunne mein achchha lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.