ek sahaare pe jo sab baiTha ho haare jaise
ik sahāre pe jo sab baiThā ho haare jaise
yaar lagte ho bashar tum bhī hamāre jaise
na kareñge koī shikva na taqāzā tum se
hote hote hue lo ham bhī tumhāre jaise
tū ne dī hai ye mujhe kaisī hasīñ be-rangī
sāñjh ke baal koī raat sañvāre jaise
zindagī kyā hai nahīñ tujh ko zarā bhī ye ḳhabar
zindagī dariyā hai aur sab haiñ kināre jaise
fikr hotī hai bhare dil se jo dekhūñ tujh ko
koī sote hue bachche ko nihāre jaise
tū jo hai hī nahīñ kyoñ tujh ko banā.ūñ vaisā
muntazir shab kā take din meñ sitāre jaise
ek sahaare pe jo sab baiTha ho haare jaise
yar lagte ho bashar tum bhi hamare jaise
na karenge koi shikwa na taqaza tum se
hote hote hue lo hum bhi tumhaare jaise
tu ne di hai ye mujhe kaisi hasin be-rangi
sanjh ke baal koi raat sanware jaise
zindagi kya hai nahin tujh ko zara bhi ye KHabar
zindagi dariya hai aur sab hain kinare jaise
fikr hoti hai bhare dil se jo dekhun tujh ko
koi sote hue bachche ko nihaare jaise
tu jo hai hi nahin kyon tujh ko banaun waisa
muntazir shab ka take din mein sitare jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.