ek samundar hai meri aankhon mein
ik samundar hai merī āñkhoñ meñ
ġham kā manzar hai merī āñkhoñ meñ
tum sitāroñ kī baat karte ho
saarā ambar hai merī āñkhoñ meñ
jis ne ranj-o-alam diye haiñ mujhe
vo sitamgar hai merī āñkhoñ meñ
yuuñ to pardes meñ taraqqī hai
par mirā ghar hai merī āñkhoñ meñ
mere ḳhvāboñ kā qatl karne ko
koī ḳhanjar hai merī āñkhoñ meñ
tū kisī aur kā na ho jaa.e
bas yahī Dar hai merī āñkhoñ meñ
tum ko dil meñ dikhā.ī de yā na de
zaḳhm andar hai merī āñkhoñ meñ
sach to ye hai ke aaj bhī 'raunaq'
ik qalandar hai merī āñkhoñ meñ
ek samundar hai meri aankhon mein
gham ka manzar hai meri aankhon mein
tum sitaron ki baat karte ho
sara ambar hai meri aankhon mein
jis ne ranj-o-alam diye hain mujhe
wo sitamgar hai meri aankhon mein
yun to pardes mein taraqqi hai
par mera ghar hai meri aankhon mein
mere KHwabon ka qatl karne ko
koi KHanjar hai meri aankhon mein
tu kisi aur ka na ho jae
bas yahi Dar hai meri aankhon mein
tum ko dil mein dikhai de ya na de
zaKHm andar hai meri aankhon mein
sach to ye hai ke aaj bhi 'raunaq'
ek qalandar hai meri aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.