ek sard-jang ka hai asar mere KHun mein
ik sard-jañg kā hai asar mere ḳhuun meñ
ehsās ho rahā hai december kā june meñ
kis ne hilā.ī aaj ye zinjīr-e-āgahī
ek shor sā bapā hai mere andarūn meñ
ye aur baat ḳhud ko bikharne nahīñ diyā
yādeñ ḳhalal to Daal rahīñ thiiñ sukūn meñ
merā tumhāre hijr ne ye haal kar diyā
shab ko tumhārī shakl nazar aa.ī moon meñ
tohfa mire ḳhulūs ne aisā diyā 'sabīn'
dhaḌkan meñ josh hai na harārat hai ḳhuun meñ
ek sard-jang ka hai asar mere KHun mein
ehsas ho raha hai december ka june mein
kis ne hilai aaj ye zinjir-e-agahi
ek shor sa bapa hai mere andarun mein
ye aur baat KHud ko bikharne nahin diya
yaaden KHalal to Dal rahin thin sukun mein
mera tumhaare hijr ne ye haal kar diya
shab ko tumhaari shakl nazar aai moon mein
tohfa mere KHulus ne aisa diya 'sabin'
dhaDkan mein josh hai na hararat hai KHun mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.