ek sehr-e-tahayyur tha ki ehsas ki rau thi
ik sehr-e-tahayyur thā ki ehsās kī rau thī
din ko bhī nigāhoñ meñ shabīh-e-mah-e-nau thī
ham log to vābasta-e-yak-tār-e-nazar the
mā'lūm nahīñ is ke sivā bhī koī lau thī
tab zehn pe zulmāt kā partav na paḌā thā
jhilmil the kamālāt ḳhayālāt meñ zau thī
phir ḳhvāb-e-ḳhirad-ḳhvār se bedār hue to
har zehn pe zañgār thā har chashm giro thī
ḳhas-ḳhāna-e-afkār meñ kuchh bhī to nahīñ thā
chand ek sharāre the aur un kī tag-o-dau thī
ek sehr-e-tahayyur tha ki ehsas ki rau thi
din ko bhi nigahon mein shabih-e-mah-e-nau thi
hum log to wabasta-e-yak-tar-e-nazar the
ma'lum nahin is ke siwa bhi koi lau thi
tab zehn pe zulmat ka partaw na paDa tha
jhilmil the kamalat KHayalat mein zau thi
phir KHwab-e-KHirad-KHwar se bedar hue to
har zehn pe zangar tha har chashm giro thi
KHas-KHana-e-afkar mein kuchh bhi to nahin tha
chand ek sharare the aur un ki tag-o-dau thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.