ek shaghl shab-e-hijr ki zinat ki tarah hai
ik shaġhl shab-e-hijr kī zīnat kī tarah hai
baaqī jo ta.alluq hai vo tohmat kī tarah hai
kyā jāniye kis lamha ye hāthoñ se phisal jaa.e
ik rishta jo nādār kī ġhairat kī tarah hai
dekhūñ to sahī hotī hai kyā vasl kī tausī.a
ab hijr tirā merī zarūrat kī tarah hai
ik sabz sā nuqta ye batātā hai ki hai vo
ab us se mulāqāt alāmat kī tarah hai
ik sūrat-e-mauhūm ki zinda hai na murda
dekho to zamāne meñ qayāmat kī tarah hai
lene ko haiñ añgḌā.ī ye ḳhvābīda-o-pāmāl
jo sang yahāñ hai vo imārat kī tarah hai
āgāh ki gulzār hai ik ātish-e-namrūd
baaqī jo hai shaddād kī jannat kī tarah hai
hai sad-qalam-e-gul se chaman-zār sahīfa
aur jumbish-e-gul-barg tilāvat kī tarah hai
kam ma.arka-e-zīst nahīñ jang-e-uhad se
asbāb-e-jahāñ māl-e-ġhanīmat kī tarah hai
kyā kahiye ki ḳhud ġharq rahe is meñ gale tak
kahte hue duniyā ye najāsat kī tarah hai
ek shaghl shab-e-hijr ki zinat ki tarah hai
baqi jo talluq hai wo tohmat ki tarah hai
kya jaaniye kis lamha ye hathon se phisal jae
ek rishta jo nadar ki ghairat ki tarah hai
dekhun to sahi hoti hai kya wasl ki tausia
ab hijr tera meri zarurat ki tarah hai
ek sabz sa nuqta ye batata hai ki hai wo
ab us se mulaqat alamat ki tarah hai
ek surat-e-mauhum ki zinda hai na murda
dekho to zamane mein qayamat ki tarah hai
lene ko hain angDai ye KHwabida-o-pamal
jo sang yahan hai wo imarat ki tarah hai
aagah ki gulzar hai ek aatish-e-namrud
baqi jo hai shaddad ki jannat ki tarah hai
hai sad-qalam-e-gul se chaman-zar sahifa
aur jumbish-e-gul-barg tilawat ki tarah hai
kam marka-e-zist nahin jang-e-uhad se
asbab-e-jahan mal-e-ghanimat ki tarah hai
kya kahiye ki KHud gharq rahe is mein gale tak
kahte hue duniya ye najasat ki tarah hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.