ek shahanshah ke ezaz-o-laqab se aage
ik shahanshāh ke e'zāz-o-laqab se aage
'ishq rahtā hai har ik nām-o-nasab se aage
kitnā kuchh chhoḌ ke aa.e haiñ ye mā'lūm karo
ye na socho ki khaḌe ho ga.e sab se aage
maiñ zamāne se mulāqāt to kar luuñ lekin
dil nikaltā hī nahīñ terī talab se aage
is qadar tez na thī aap kī raftār magar
ho ga.e aap kisī aur sabab se aage
ye du'ā kī thī bhaTakne se bachā le koī
ek aahaT sī chalā kartī hai tab se aage
ek shahanshah ke e'zaz-o-laqab se aage
'ishq rahta hai har ek nam-o-nasab se aage
kitna kuchh chhoD ke aae hain ye ma'lum karo
ye na socho ki khaDe ho gae sab se aage
main zamane se mulaqat to kar lun lekin
dil nikalta hi nahin teri talab se aage
is qadar tez na thi aap ki raftar magar
ho gae aap kisi aur sabab se aage
ye du'a ki thi bhaTakne se bacha le koi
ek aahaT si chala karti hai tab se aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.