ek shahzada bhes badal kar aise mahal mein aata hai
ik shahzāda bhes badal kar aise mahal meñ aatā hai
zikr tumhārā jaise jānāñ merī ġhazal meñ aatā hai
hairāñ hairāñ khoyā khoyā pāgal pāgal be-kal sā
jaane kis ko DhūñDne chandā jhiil ke jal meñ aatā hai
āñkhoñ meñ dīdār kā kājal maiñ bhī lagā kar jaatī huuñ
vo bhī aksar DhūñDne mujh ko tāj-mahal meñ aatā hai
gaahe amāvas kī rātoñ meñ gaahe chāñdnī rātoñ meñ
ik ġhamgīñ afsurda saaya shīsh-mahal meñ aatā hai
jaane kahāñ se itne parinde shāḳhoñ par aa jaate haiñ
khaTTā-mīThā albelā ras jūñ-hī phal meñ aatā hai
jis ko sun kar dil bhar aa.e āñkheñ bhī nam ho jaa.eñ
aise sheroñ kī shirkat se husn ġhazal meñ aatā hai
aa 'rehāna' us se pūchheñ maazī kī rūdād-e-hasīñ
jo chhoTī sī kashtī le kar shaam ko Dal meñ aatā hai
ek shahzada bhes badal kar aise mahal mein aata hai
zikr tumhaara jaise jaanan meri ghazal mein aata hai
hairan hairan khoya khoya pagal pagal be-kal sa
jaane kis ko DhunDne chanda jhil ke jal mein aata hai
aankhon mein didar ka kajal main bhi laga kar jati hun
wo bhi aksar DhunDne mujh ko taj-mahal mein aata hai
gahe amawas ki raaton mein gahe chandni raaton mein
ek ghamgin afsurda saya shish-mahal mein aata hai
jaane kahan se itne parinde shaKHon par aa jate hain
khaTTa-miTha albela ras jun-hi phal mein aata hai
jis ko sun kar dil bhar aae aankhen bhi nam ho jaen
aise sheron ki shirkat se husn ghazal mein aata hai
aa 'rehana' us se puchhen mazi ki rudad-e-hasin
jo chhoTi si kashti le kar sham ko Dal mein aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.