ek shajar hai la-fana jis ki jaDen hain sanglaKH
ik shajar hai lā-fanā jis kī jaḌeñ haiñ sanglāḳh
jaḌ hai uupar aur hai nīche kī jānib jis kī shāḳh
barg jis ke diid haiñ mahram hai jis kā dīd-dāñ
hai sifat jis kā tanā jis se harī hai shāḳh shāḳh
jis kī shāḳhoñ ke shagūfe hiss-o-mahsūsāt haiñ
beḳh-e-āvezāñ kā hai dām-e-amal dāman farāḳh
jo shajar hai lā-makānī ġhair mutshakkil qadīm
qat' karnā lāzmī hai jis kī bekH-e-sanglāḳh
teġh se tajrīd ke le kaam ho fāriġh-nashīñ
asl meñ ho vasl haiñ sab far-e-ġhuncha barg-o-shāḳh
farz hai ye kar adā-e-farz be-bīm-o-rajā
dekh 'sāhir' sar-zamīn-e-ishq hai kyā sanglāḳh
ek shajar hai la-fana jis ki jaDen hain sanglaKH
jaD hai upar aur hai niche ki jaanib jis ki shaKH
barg jis ke did hain mahram hai jis ka did-dan
hai sifat jis ka tana jis se hari hai shaKH shaKH
jis ki shaKHon ke shagufe hiss-o-mahsusat hain
beKH-e-awezan ka hai dam-e-amal daman faraKH
jo shajar hai la-makani ghair mutshakkil qadim
qat' karna lazmi hai jis ki bekH-e-sanglaKH
tegh se tajrid ke le kaam ho farigh-nashin
asl mein ho wasl hain sab far-e-ghuncha barg-o-shaKH
farz hai ye kar ada-e-farz be-bim-o-raja
dekh 'sahir' sar-zamin-e-ishq hai kya sanglaKH
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.