ek shaKHs bhari-bazm mein tanha nazar aaya
ik shaḳhs bharī-bazm meñ tanhā nazar aayā
apnā to nahīñ thā magar apnā nazar aayā
ham tishna-laboñ ne kabhī jā kar lab-e-dariyā
dariyā ko bhī dekhā hai to pyāsā nazar aayā
shabnam-zada phūloñ ke sivā sehn-e-chaman meñ
ai ābla-pāyān-e-junūñ kyā nazar aayā
ai ghūmtī-phirtī huī lāsho ye batāo
insāñ koī is shahr meñ zinda nazar aayā
dekhā ki vahī sūrat-e-dīvār hai 'nashtar'
jis ko kisī dīvār kā saayā nazar aayā
ek shaKHs bhari-bazm mein tanha nazar aaya
apna to nahin tha magar apna nazar aaya
hum tishna-labon ne kabhi ja kar lab-e-dariya
dariya ko bhi dekha hai to pyasa nazar aaya
shabnam-zada phulon ke siwa sehn-e-chaman mein
ai aabla-payan-e-junun kya nazar aaya
ai ghumti-phirti hui lasho ye batao
insan koi is shahr mein zinda nazar aaya
dekha ki wahi surat-e-diwar hai 'nashtar'
jis ko kisi diwar ka saya nazar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.