ek shaKHs ko suna tha kabhi bolte hue
ik shaḳhs ko sunā thā kabhī bolte hue
us roz se laboñ pe haiñ taale paḌe hue
ḳhālī lifāfe bhejte rahte haiñ ham use
almāriyoñ meñ band haiñ sab ḳhat likhe hue
manzil se duur rahne kā dukh kis liye na ho
ik umr ho ga.ī hameñ ghar se chale hue
kālak chhupā.ī jā na sakī jin se soch kī
vo bhī pahan ke aa.e haiñ kapḌe dhule hue
shāyad ikaa.ī zehn kī taqsīm ho ga.ī
ham sher bhūlne lage apne kahe hue
ek shaKHs ko suna tha kabhi bolte hue
us roz se labon pe hain tale paDe hue
KHali lifafe bhejte rahte hain hum use
almariyon mein band hain sab KHat likhe hue
manzil se dur rahne ka dukh kis liye na ho
ek umr ho gai hamein ghar se chale hue
kalak chhupai ja na saki jin se soch ki
wo bhi pahan ke aae hain kapDe dhule hue
shayad ikai zehn ki taqsim ho gai
hum sher bhulne lage apne kahe hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.