ek shaKHs pur-waqar tha jaane kidhar gaya
ik shaḳhs pur-vaqār thā jaane kidhar gayā
āñkhoñ kā jo ḳhumār thā jaane kidhar gayā
donoñ jahāñ kī vus'ateñ thiiñ jis kī zaat meñ
anmol shāhkār thā jaane kidhar gayā
tark-e-ta'alluqāt kā ḳhadsha sadā rahā
vo jis pe e'tibār thā jaane kidhar gayā
ehsās kā ye husn bhī baḳhshish usī kī hai
merī anā thā pyaar thā jaane kidhar gayā
us kā vajūd hī mirī kul kā.enāt thā
dil kā mire qarār thā jaane kidhar gayā
gesū jo khole raat ne āñkheñ diyā banīñ
jo raunaq-e-'bahār' thā jaane kidhar gayā
ek shaKHs pur-waqar tha jaane kidhar gaya
aankhon ka jo KHumar tha jaane kidhar gaya
donon jahan ki wus'aten thin jis ki zat mein
anmol shahkar tha jaane kidhar gaya
tark-e-ta'alluqat ka KHadsha sada raha
wo jis pe e'tibar tha jaane kidhar gaya
ehsas ka ye husn bhi baKHshish usi ki hai
meri ana tha pyar tha jaane kidhar gaya
us ka wajud hi meri kul kaenat tha
dil ka mere qarar tha jaane kidhar gaya
gesu jo khole raat ne aankhen diya banin
jo raunaq-e-'bahaar' tha jaane kidhar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.