ek shikayat hai hamein us girya-e-ghammaz se
ek shikayat hai hamein us girya-e-ghammaz se
Syed Aneesuddin Ahmad Rizvi Amrohvi
MORE BYSyed Aneesuddin Ahmad Rizvi Amrohvi
ik shikāyat hai hameñ us girya-e-ġhammāz se
haa.e un ko kar diyā āgāh dil ke raaz se
haiñ tire anjām meñ hirmān-o-hasrat hī nihāñ
ye ayaañ hai qissa-e-ulfat tire āġhāz se
bad-gumānī is dil-e-majrūh par fariyād kī
kab sadā-e-soz aatī hai shikasta saaz se
kyā ġhazab haiñ us ke barq-e-husn kī tābāniyāñ
ik ujālā sā huvaidā hai jabīn-e-nāz se
terī jumbish ke maiñ sadqe ai lab-e-mo.ajiz-numā
ḳhuft-gān-e-baḳht jaag uTThe tirī āvāz se
merī barq-e-āh dil meñ hī taḌap kar rah ga.ī
murġh-e-bismil kī tarah nā-āshnā parvāz se
hai shab-e-ġham meñ faqat us kā tasavvur hī 'anīs'
aao kuchh bāteñ hī kar leñ hamdam-o-hamrāz se
ek shikayat hai hamein us girya-e-ghammaz se
hae un ko kar diya aagah dil ke raaz se
hain tere anjam mein hirman-o-hasrat hi nihan
ye ayan hai qissa-e-ulfat tere aaghaz se
bad-gumani is dil-e-majruh par fariyaad ki
kab sada-e-soz aati hai shikasta saz se
kya ghazab hain us ke barq-e-husn ki tabaniyan
ek ujala sa huwaida hai jabin-e-naz se
teri jumbish ke main sadqe ai lab-e-moajiz-numa
KHuft-gan-e-baKHt jag uTThe teri aawaz se
meri barq-e-ah dil mein hi taDap kar rah gai
murgh-e-bismil ki tarah na-ashna parwaz se
hai shab-e-gham mein faqat us ka tasawwur hi 'anis'
aao kuchh baaten hi kar len hamdam-o-hamraaz se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.